dasht-e-tanhai mein kal raat hawa kaisi thi
der tak TuTte lamhon ki sada kaisi thi
zindagi ne mera pichha nahin chhoDa ab tak
umr bhar sar se na utri ye bala kaisi thi
sunte rahte the mohabbat ke fasane kya kya
bund bhar dil pe na barsi ye ghaTa kaisi thi
kya mila faisla-e-tark-e-talluq kar ke
tum jo bichhDe the to honTon pe dua kaisi thi
TuT kar KHud jo wo bikhra hai to malum hua
jis se lipTa tha wo diwar-e-ana kaisi thi
jism se noch ke phenki bhi to KHushbu na gai
ye riwayat ki bosida qaba kaisi thi
Dubte waqt bhanwar puchh raha hai 'qaisar'
jab kinare se chale the to faza kaisi thi
Ghazal
Dasht-e-tanhai mein kal raat hawa kaisi thi
Qaisar-ul-Jafri