dasht-e-ghurbat hai alalat bhi hai tanhai bhi
aur un sab pe fuzun baadiya-paimai bhi
KHwab-e-rahat hai kahan nind bhi aati nahin ab
bas uchaT jaane ko aai jo kabhi aai bhi
yaad hai mujh ko wo be-fikri o aaghaz-e-shabab
suKHan-arai bhi thi anjuman-arai bhi
nigah-e-shauq-o-tamanna ki wo dilkash thi kamand
jis se ho jate the ram aahu-e-sahrai bhi
hum sanam-KHana jahan karte the apna qaim
phir khaDe hote the wan hur ke shaidai bhi
ab na wo umr na wo log na wo lail o nahaar
bujh gai taba kabhi josh pe gar aai bhi
ab to shubhe bhi mujhe dew nazar aate hain
us zamane mein pari-zad thi ruswai bhi
kaam ki baat jo kahni ho wo kah lo 'akbar'
dam mein chhin jaegi ye taqat-e-goyai bhi
Ghazal
Dasht-e-ghurbat hai alalat bhi hai tanhai bhi
Akbar Allahabadi