darwaza tere shahr ka wa chahiye mujh ko
jina hai mujhe taza hawa chahiye mujh ko
aazar bhi the sab se ziyaada meri jaan par
altaf bhi auron se siwa chahiye mujh ko
wo garm hawaen hain ki khulti nahin aankhen
sahra main hun baadal ki rida chahiye mujh ko
lab si ke mere tu ne diye faisle sare
ek bar to bedard suna chahiye mujh ko
sab KHatm hue chah ke aur KHabt ke qisse
ab puchhne aae ho ki kya chahiye mujh ko
han chhuTa mere hath se iqrar ka daman
han jurm-e-zaifi ki saza chahiye mujh ko
mahbus hai gumbad mein kabutar meri jaan ka
uDne ko falak-bos faza chahiye mujh ko
samton ke tilismat mein gum hai meri taid
qibla to hai ek qibla-numa chahiye mujh ko
main pairwi-e-ahl-e-siyasat nahin karta
ek rasta in sab se juda chahiye mujh ko
wo shor tha mahfil mein ki chilla uTha 'waiz'
ek jam-e-mai-e-hosh-ruba chahiye mujh ko
taqsir nahin 'arsh' koi samne phir bhi
jita hun to jine ki saza chahiye mujh ko
Ghazal
Darwaza tere shahr ka wa chahiye mujhko
Arsh Siddiqui