darwaza koi ghar se nikalne ke liye de
be-KHauf koi rasta chalne ke liye de
aankhon ko ata KHwab kiye shukriya lekin
paikar bhi koi KHwabon mein Dhalne ke liye de
pani ka hi paikar kisi parbat ko ata kar
ek bund hi naddi ko uchhalne ke liye de
sahmi hui shaKHon ko zara si koi mohlat
suraj ki sawari ko nigalne ke liye de
sab waqt ki diwar se sar phoD rahe hain
rauzan hi koi bhag nikalne ke liye de
sailab mein saat ke mujhe phenkne wale
TuTa hua ek pul hi sambhalne ke liye de
mahfuz jo tartib-e-anasir se hain asrar
to KHol ko ek aanch pighalne ke liye de
taKHil ko taKHliq ki taufiq ata kar
phir pahlu se ek chiz nikalne ke liye de
Ghazal
Darwaza koi ghar se nikalne ke liye de
Sheen Kaaf Nizam