اردو हिंदी
Darun-e-KHwab naya ek jahan nikalta hai | Shaahi Shayari
darun-e-KHwab naya ek jahan nikalta hai

Ghazal

Darun-e-KHwab naya ek jahan nikalta hai

Dilawar Ali Aazar

;

darun-e-KHwab naya ek jahan nikalta hai
zamin ki tah se koi aasman nikalta hai

bhala nazar bhi wo aae to kis tarah aae
mera sitara pas-e-kahkashan nikalta hai

hawa-e-shauq ye manzil se ja ke kah dena
zara si der hai bas karwan nikalta hai

meri zamin pe suraj ba-waqt-e-subh o masa
nikal to aata hai lekin kahan nikalta hai

ye jis wajud pe tum naz kar rahe ho bahut
yahi wajud bahut raegan nikalta hai

maqam-e-wasl ek aisa maqam hai ki jahan
yaqin karte hain jis par guman nikalta hai

badan ko chhoD hi jaana hai ruh ne 'azar'
har ek charagh se aaKHir dhuan nikalta hai