darun-e-jaan ka shagufa jala hua nikla
so jo sharar bhi nikla bujha hua nikla
chura ke le gai jaane hawa-e-shab kya kya
uThe to KHwab-daricha khula hua nikla
ek arse baad hui khul ke guftugu us se
ek arse baad wo kanTa chubha hua nikla
dhari hi rah gai KHwahish nihaal hone ki
numu ka daur tha aur dil dukha hua nikla
khule paDe the sabhi dar makan-e-hasti ke
makin KHud kahin bahar gaya hua nikla
faza-e-jaan mein to ek iztirar tha hi magar
jahan-e-dil mein bhi dhaDka laga hua nikla
ek umr KHwab mein guzri thi rang bharte hue
khuli jab aankh to manzar dhula hua nikla
Ghazal
Darun-e-jaan ka shagufa jala hua nikla
Khaavar Ejaz