dariya mein dasht dasht mein dariya sarab hai 
is puri kaenat mein kitna sarab hai 
rozana ek faqir lagata hai ye sada 
duniya sarab hai are duniya sarab hai 
musa ne ek KHwab-e-haqiqat bana diya 
waise to gahre pani mein rasta sarab hai 
puri tarah se hath mein aaya nahin kabhi 
wo husn-e-be-misal bhi aadha sarab hai 
khulta nahin hai ret hai pani ki aur kuchh 
meri nazar ke samne pahla sarab hai 
suraj ki tez dhup mein dhoka har ek shai 
kali ghaTa si raat mein saya sarab hai
        Ghazal
Dariya mein dasht dasht mein dariya sarab hai
Ahmad Khayal

