اردو हिंदी
Dariya ki rawani wahi dahshat bhi wahi hai | Shaahi Shayari
dariya ki rawani wahi dahshat bhi wahi hai

Ghazal

Dariya ki rawani wahi dahshat bhi wahi hai

Yasmeen Hameed

;

dariya ki rawani wahi dahshat bhi wahi hai
aur Dubte lamhat ki surat bhi wahi hai

alfaz bhi likkhe hain wahi nok-e-qalam ne
auraq pe phaili hui rangat bhi wahi hai

kyun us ka sarapa na hua naqsh-ba-diwar
jab main bhi wahi hun meri hairat bhi wahi hai

kyun barf si paDti hai kahin shahr-e-darun par
jab muzhda-e-KHurshid mein hiddat bhi wahi hai

kyun DhunDne nikle hain nae gham ka KHazina
jab dil bhi wahi dard ki daulat bhi wahi hai

raste se meri jang bhi jari hai abhi tak
aur panw tale zaKHm ki wahshat bhi wahi hai

ta-umr nigahon ke liye ek sa manzar
sae ki tarah sae ki qimat bhi wahi hai