dariya jo chaDha hai wo utarne nahin dena
ye lamha-e-maujud guzarne nahin dena
duniya hi nahin dil ko bhi is shahr-e-hawas mein
man-mani kisi haal mein karne nahin dena
mahsus nahin hogi masiha ki zarurat
ye zaKHm hi aisa hai ki bharne nahin dena
mushkil hai magar kaam ye karna hi paDega
insan ko insan se Darne nahin dena
jis KHwab mein ru-posh ho jine ki tamanna
wo KHwab-e-dil-awez bikharne nahin dena
gar dil ko jala kar bhi dhuan karna paDe to
in paudon ko kohre mein ThiThurne nahin dena
Ghazal
Dariya jo chaDha hai wo utarne nahin dena
Obaid Siddiqi