اردو हिंदी
Dard se jaan churaate hue Dar lagta hai | Shaahi Shayari
dard se jaan churaate hue Dar lagta hai

Ghazal

Dard se jaan churaate hue Dar lagta hai

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

;

dard se jaan churaate hue Dar lagta hai
dil ko viran banate hue Dar lagta hai

chaar aansu sar-e-mizhgan to koi bar nahin
gham ki tauqir ghaTate hue Dar lagta hai

log to baat ka afsana bana dete hain
is liye lab bhi hilate hue Dar lagta hai

apni hasti se na ho jaun kahin begana
aap se rabt baDhate hue Dar lagta hai

husn-e-be-parda ke jalwe bahut arzan hain magar
tohmat-e-did uThate hue Dar lagta hai

azmat-e-dair-o-haram ka na bharam khul jae
sar tere dar pe jhukate hue Dar lagta hai

jis ke har lafz mein hon gham ki karahen 'mansha'
aisa afsana sunate hue Dar lagta hai