dard sa uTh ke na rah jae kahin dil ke qarib
meri kashti na kahin gharq ho sahil ke qarib
wajd mein ruh hai aur raqs mein hai pa-e-talab
dekhiye haal mere shauq ka manzil ke qarib
rah gaya tha jo kabhi pa-e-talab mein chubh kar
ab wahi KHar-e-tamanna hai rag-e-dil ke qarib
ab wo piri mein kahan ahd-e-jawani ki umang
rang maujon ka badal jaata hai sahil ke qarib
jazba-e-shauq bhi kuchh kaam na aaya 'hadi'
na-tawani ne biThaya mujhe manzil ke qarib
Ghazal
Dard sa uTh ke na rah jae kahin dil ke qarib
Hadi Machlishahri