dard mein shiddat-e-ehsas nahin thi pahle
zindagi ram ka ban-bas nahin thi pahle
hum bhi sau jate the masum farishton ki tarah
aur ye raat bhi hassas nahin thi pahle
hum ne is bar tujhe jism se haT kar socha
shairi ruh ki akkas nahin thi pahle
teri furqat hi udasi ka sabab hai ab ke
teri qurbat bhi hamein ras nahin thi pahle
teri aankhon ne kahin ka nahin rakha hum ko
itni shiddat ki hamein pyas nahin thi pahle
rah chalte hue hum muD ke nahin dekhte the
raste mein teri bu-bas nahin thi pahle

Ghazal
Dard mein shiddat-e-ehsas nahin thi pahle
Shakeel Azmi