اردو हिंदी
Dard ki lahar thi guzar bhi gai | Shaahi Shayari
dard ki lahar thi guzar bhi gai

Ghazal

Dard ki lahar thi guzar bhi gai

Yashab Tamanna

;

dard ki lahar thi guzar bhi gai
us ke hamrah chashm-e-tar bhi gai

ek talluq sa tha so KHatm hua
baat thi zehn se utar bhi gai

hum abhi soch hi mein baiThe hain
aur wo aankh kaam kar bhi gai

hijr se kam na thi visal ki rut
aai bechain si guzar bhi gai

zabt ka hausla bahut tha magar
us ne puchha to aankh bhar bhi gai