dard ke phul bhi khilte hain bikhar jate hain
zaKHm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jate hain
rasta roke khaDi hai yahi uljhan kab se
koi puchhe to kahen kya ki kidhar jate hain
chhat ki kaDiyon se utarte hain mere KHwab magar
meri diwaron se Takra ke bikhar jate hain
narm alfaz bhali baaten mohazzab lahje
pahli barish hi mein ye rang utar jate hain
us dariche mein bhi ab koi nahin aur hum bhi
sar jhukae hue chup-chap guzar jate hain
Ghazal
Dard ke phul bhi khilte hain bikhar jate hain
Javed Akhtar