اردو हिंदी
Dard ke chehre badal jate hain kyun | Shaahi Shayari
dard ke chehre badal jate hain kyun

Ghazal

Dard ke chehre badal jate hain kyun

Farooq Shamim

;

dard ke chehre badal jate hain kyun
marsiye naghmon mein Dhal jate hain kyun

soch ke paikar nahin jab mom ke
hath aate hi pighal jate hain kyun

jab bikhar jati hai KHush-bu KHwab ki
nind ke gesu machal jate hain kyun

jhil si aankhon mein mujh ko dekh kar
do diye chupke se jal jate hain kyun

dhup chhuti hai badan ko jab 'shamim'
barf ke suraj pighal jate hain kyun