اردو हिंदी
Dard ka shahr kahin karb ka sahra hoga | Shaahi Shayari
dard ka shahr kahin karb ka sahra hoga

Ghazal

Dard ka shahr kahin karb ka sahra hoga

Ameer Qazalbash

;

dard ka shahr kahin karb ka sahra hoga
log waqif the koi ghar se na nikla hoga

wo jo ek shaKHs ba-zid hai ki bhula do mujh ko
bhul jaun to usi shaKHs ko sadma hoga

aankh khulte hi bichhaD jaega har manzar-e-shab
chand phir subh ke maqtal mein akela hoga

jin ujalon ki taraf dauD rahi hai duniya
un ujalon mein qayamat ka andhera hoga

ek ummid har ek dar pe liye jati hai
ye mera shahr tha koi to shanasa hoga