dard jab ishq mein mail-ba-fughan hota hai
wahi aalam to tabiat pe garan hota hai
moajiza ishq ka us waqt ayan hota hai
us ki taswir pe jab apna guman hota hai
ab to har bazm mein haal apna bayan hota hai
kaun ab kis ke liye girya-kunan hota hai
jab kabhi tazkira-e-gul-badnan hota hai
rahguzaron pe bahaaron ka guman hota hai
chandni raat mein jab hote hain wo mere qarib
wahi aalam to mohabbat mein jawan hota hai
kis qadar pi hai kahan pi hai kahan tak pi hai
pine wale ko ye ehsas kahan hota hai
han wahi 'warsi' kahte hain jise aap 'aziz'
koi bhi bazm ho wo pir-e-mughan hota hai
Ghazal
Dard jab ishq mein mail-ba-fughan hota hai
Aziz Warsi