dard har rang se atwar-e-dua mange hai
lahza lahza mere zaKHmon ka pata mange hai
itni aankhen hain magar dekhti kya rahti hain
ye tamasha to KHuda jaaniye kya mange hai
sab to hoshyar hue tum bhi siyane ban jao
dekho har shaKHs wafaon ka sila mange hai
kan sunte to hain lekin na samajhne ke liye
koi samjha bhi to mafhum naya mange hai
Ghazal
Dard har rang se atwar-e-dua mange hai
Ali Zaheer Lakhnavi