اردو हिंदी
Dard had se siwa diya tu ne | Shaahi Shayari
dard had se siwa diya tu ne

Ghazal

Dard had se siwa diya tu ne

Yunus Ghazi

;

dard had se siwa diya tu ne
mera rutba baDha diya tu ne

dard-o-gham hi sahi KHushi na sahi
mujh ko jo kuchh diya diya tu ne

rahat-afza laga mujhe har gham
dard aisa jaga diya tu ne

nam de kar gham-e-mohabbat ka
kyun fasana bana diya tu ne

dil mein aaya to is tarah aaya
dil se sab kuchh bhula diya tu ne

jis ki hasrat kalim rakhte the
mujh ko wo bhi dikha diya tu ne

jugnuon hi pe thi nazar meri
mujh ko suraj bana diya tu ne