dard ghazal mein Dhalne se katraata hai
KHali kaghaz meri hansi uData hai
kis chahat se qalam pakaD kar baiThe the
ab to ek bhi lafz nahin ban aata hai
aaDi-tirchhi lakiron se kab baat bani
shauq andha hai hawa pe naqsh banata hai
kis ki sadaen mera taaqub karti hain
des nikale shaKHs ko kaun bulata hai
yaaden Tisen si ban kar rah jati hain
guzra mausam phir kab lauT ke aata hai
kis ka rasta dekh rahe hain ghar ke kiwaD
suna suna aangan kise bulata hai
kin kin sahraon ki KHak uDani paDi
dil bhi kaise kaise nach bachata hai
jhuTi sachchi jo ji chahe kahte jao
kaun kisi ke dil mein utra jata hai
waqt ki baat hai pyare chahe man na man
miTha kaDwa sab sunna paD jata hai
mere aage bhag rahe hain chand 'riyaz'
mere pichhe mera saya aata hai
Ghazal
Dard ghazal mein Dhalne se katraata hai
Riaz Majeed