dard-e-gham-e-firaq se aankhen hain ashk-bar kya
rone se hogi muKHtasar zahmat-e-intizar kya
zaKHmon se chur jo na ho sina-e-da-dar kya
jis mein na ho hujum-e-gul kahiye use bahaar kya
jis ne jala ke dil mera hijr ki shab miTa diya
shamen jalane aaya hai ab wo sar-e-mazar kya
uTh gai jis taraf nazar hashr sa ek bapa hua
un ki nigah-e-naz hai fitna-e-rozgar kya
miT ke bhi us ki justuju hai jo jahan mein chaar-su
lega kisi jagah qarar uDta hua ghubar kya
ho chuki KHatm sham-e-gham aankhon mein aa chuka hai dam
ab bhi mariz-e-hijr ko un ka hai intizar kya
jurm-e-wafa se andalib-e-gul ki nazar mein thi zalil
kanTon ke bhi nigah mein hona paDega KHwar kya
koshish-e-zabt lakh ki phir bhi na ashk tham sake
jabr na dil pe ho saka aisa bhi iKHtiyar kya
un ki nazar ke sath hi sara zamana phir gaya
gardish-e-chashm-e-naz hai gardish-e-rozgar kya
baad-e-KHizan ki mauj thi ghuncha-e-dil ke haq mein sam
mausam-e-gul ki bhi hawa hogi na sazgar kya
'shoala' tafta-dil mujhe aatish-e-ishq se hai kaam
meri nazar mein tur ki barq-e-sharara-bar kiya

Ghazal
Dard-e-gham-e-firaq se aankhen hain ashk-bar kya
Shola Kararvi