اردو हिंदी
Dard-e-dil pas-e-wafa jazba-e-iman hona | Shaahi Shayari
dard-e-dil pas-e-wafa jazba-e-iman hona

Ghazal

Dard-e-dil pas-e-wafa jazba-e-iman hona

Chakbast Brij Narayan

;

dard-e-dil pas-e-wafa jazba-e-iman hona
aadamiyat hai yahi aur yahi insan hona

zindagi kya hai anasir mein zuhur-e-tartib
maut kya hai inhin ajza ka pareshan hona

hum ko manzur hai ai dida-e-wahdat-agin
ek ghunche mein tamasha-e-gulistan hona

jis tarah KHum kisi jam ka TukDa nikle
yunhi gardun se mah-e-nau ka numayan hona

sar mein sauda na raha panw beDi na rahi
meri taqdir mein tha be-sar-o-saman hona

safha-e-dahr mein mohr-e-yad-e-qudrat samjho
phul ka KHak ke tude se numayan hona

ho bayaz-e-sahar-e-nur pe dil kya mail
yaad hai daftar-e-anjum ka pareshan hona

kal bhi wo kal jo hai farda-e-qayamat zahid
aur phir us ke liye aaj pareshan hona

panw zanjir ke mushtaq hain ai josh-e-junun
hai magar shart tera silsila-jumban hona

gul ko pamal na kar lal-o-gohar ke malik
hai use turra-e-dastar-e-ghariban hona

hai mera zabt-e-junun josh-e-junun se baDh kar
nang hai mere liye chaak gareban hona