اردو हिंदी
Dard-e-dil ka kise karun izhaar | Shaahi Shayari
dard-e-dil ka kise karun izhaar

Ghazal

Dard-e-dil ka kise karun izhaar

Qasim Ali Khan Afridi

;

dard-e-dil ka kise karun izhaar
gham-e-hijrat ba-jaan-e-man bisyar

nargisi chashm ko kahan paun
jise taskin ho KHatir-e-afgar

rakhkhun apna kafan silane ko
paun gar mu-e-zulf ka yak-tar

baqi arman raha ba-dil afsos
jaan jati hai yar yar pukar

sanama zaliman sata le aa
muntazir koi dam raha be-shumar

dekhna dekh le dikha surat
warna phir main kahan kahan tu yar

'afridi' gira ba-chah-e-zanaKH
mah-e-kanan ki tarah lachaar