dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se uTha
aag sahra mein lagi aur dhuan ghar se uTha
tabish-e-husn bhi thi aatish-e-duniya bhi magar
shoala jis ne mujhe phunka mere andar se uTha
kisi mausam ki faqiron ko zarurat na rahi
aag bhi abr bhi tufan bhi saghar se uTha
be-sadaf kitne hi dariyaon se kuchh bhi na hua
bojh qatre ka tha aisa ki samundar se uTha
chand se shikwa-ba-lab hun ki sulaya kyun tha
main ki KHurshid-e-jahan-tab ki Thokar se uTha

Ghazal
Dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se uTha
Mustafa Zaidi