dard baDhta hi rahe aisi dawa de jao
kuchh na kuchh meri wafaon ka sala de jao
yun na jao ki main ro bhi na sakun furqat mein
meri raaton ko sitaron ki ziya de jao
ek bar aao kabhi itne achanak-pan se
na-umidi ko tahayyur ki saza de jao
dushmani ka koi pairaya-e-nadir DhunDo
jab bhi aao mujhe jine ki dua de jao
wahi iKHlas-o-murawwat ki purani tohmat
dosto koi to ilzam naya de jao
koi sahra bhi agar rah mein aae 'anwar'
dil ye kahta hai ki ek bar sada de jao
Ghazal
Dard baDhta hi rahe aisi dawa de jao
Anwar Masood