اردو हिंदी
Dard apna main isi taur jata rahta hun | Shaahi Shayari
dard apna main isi taur jata rahta hun

Ghazal

Dard apna main isi taur jata rahta hun

Jurat Qalandar Bakhsh

;

dard apna main isi taur jata rahta hun
hasb-e-haal us ko kai sher suna rahta hun

ek hi ja rahne ka hai ghar pa usi ghar mein aah
dil ye rahta hai juda aur main juda rahta hun

baat mein kis ki sunun aah ki ai murgh-e-chaman
shor mein apne hi nalon ke sada rahta hun

bare itna hai asar dard ke afsane mein
ek do shaKHs ko har roz rula rahta hun

bazm-e-KHuban mein ye sar go kaTe rone pe mera
shama-san ashk par aankhon se baha rahta hun

aah-o-nala mein agar kuchh bhi asar hai mere
to main us shoKH ko ek roz bula rahta hun

husn aur ishq ka kya zikr karun mat puchho
in dinon zist se bhi apni KHafa rahta hun

dil laga jab se mera aah tabhi se 'jurat'
kitni hi aafaten har roz uTha rahta hun