daraKHt ruh ke jhume parind gane lage
hamein udhar ke manazir nazar bhi aane lage
KHush-amdid ka manzar ghurub-e-sham mein tha
dar-e-shafaq pe farishte se muskurane lage
firaq o wasl ke ma-bain ye saman jaise
udas lai mein koi hamd gungunane lage
main ek saat-e-be-KHud mein chhu gaya tha jise
phir us ko lafz tak aate hue zamane lage
KHabar ke moD pe sang-e-nishan thi be-KHabari
Thikane aae mere hosh ya Thikane lage
muhib raste sarhad ki samt jate hue
zara sa aur chale hum to wo suhane lage
ek apne-ap se milna tha 'saz' jis ke liye
riqabaten huin darkar dostane lage

Ghazal
DaraKHt ruh ke jhume parind gane lage
Abdul Ahad Saaz