daraaz hai shab-e-gham soz-o-saz sath rahe
musafiro mai-e-mina-gudaz sath rahe
qadam qadam pe andheron ka samna hai yahan
safar kaThin hai dam-e-shoala-saz sath rahe
ye koh kya hai ye dasht-e-alam-faza kya hai
jo ek teri nigah-e-dil-nawaz sath rahe
koi rahe na rahe ek aah ek aansu
ba-sad KHulus ba-sad imtiyaz sath rahe
ye mai-kada hai nahin sair-e-dair sair-e-haram
nazar-afif dil-e-pak-baz sath rahe

Ghazal
Daraaz hai shab-e-gham soz-o-saz sath rahe
Makhdoom Mohiuddin