اردو हिंदी
Dar raha hun na KHauf kha raha hun | Shaahi Shayari
Dar raha hun na KHauf kha raha hun

Ghazal

Dar raha hun na KHauf kha raha hun

Waseem Tashif

;

Dar raha hun na KHauf kha raha hun
be-sabab baat ko baDha raha hun

us ki KHushbu pahan raha hun kabhi
kabhi aawaz mein naha raha hun

phul tak us ko de nahin sakta
phir hare bagh kyun dikha raha hun

kar raha hun main baat ek se aur
dusre shaKHs ko suna raha hun

be-tahasha dikhai de wo mujhe
har taraf aaine laga raha hun

main bahut KHud-pasand hun lekin
us ke kahne pe muskura raha hun

tum kisi daur mein pari rahi ho
aaj bachchon ko sab bata raha hun

kash wo bhi kabhi batae ki main
us ko shiddat se yaad aa raha hun