dar pe us shoKH ke jab ja baiTha
yar sab kahte hain achchha baiTha
KHubi-e-qismat-e-qasid dekho
pas us shoKH ke kya ja baiTha
hai habab-e-lab-e-dariya insan
jab zara sar ko uThaya baiTha
zoaf-e-piri se bana naqsh-e-qadam
main wahin ka hua jis ja baiTha
surat-e-baad raha sar-gardan
KHak ki tarah main uTTha baiTha
panw phule jo tere kuche mein
kaT ke dast-e-tamanna baiTha
bahr-e-hasti mein hababon ki tarah
saikDon bar main uTTha baiTha
kab se tera falak-e-shoabada-baz
dekhta hun main tamasha baiTha
samne kis ke jhukaya sar ko
kis liye shaiKH tu uTTha baiTha
na to nala hai na afghan ai dil
kis liye chup hai akela baiTha
KHwab-e-sair-e-chaman-e-alam hai
kya dil-e-zar hai phula baiTha
daman-e-dil pe laga dagh-e-junun
mulk par ishq ka sikka baiTha
naqd-e-dil tha jo bizaat mein meri
ishq mein us ko bhi kho-kha baiTha
jo gaya mulk-e-adam kaun gaya
us ke kuche mein jo baiTha baiTha
dil ko hai jazba-e-ulfat shayad
bak raha hai jo akela baiTha
chal base 'muntahi' sab yar tere
tu yahan karta hai ab kya baiTha

Ghazal
Dar pe us shoKH ke jab ja baiTha
Mirza Maseeta Beg Muntahi