dar-o-diwar pe hijrat ke nishan dekh aaen
aao hum apne buzurgon ke makan dekh aaen
aao bhigi hui aankhon se paDhen nauha-e-dil
aao bikhre hue rishton ka ziyan dekh aaen
TuTa TuTa hua dil le ke phiren galiyon mein
kachchi miTTi ke khilaunon ki dukan dekh aaen
raushni ke kahin aasar to baqi honge
aao pighli hui shamon ka dhuan dekh aaen
jin daraKHton ke tale raqs-e-saba hota tha
sukhe patton ka barasna bhi wahan dekh aaen
ab farishton ke siwa koi na aata hoga
kaun deta hai KHarabon mein azan dekh aaen
muddaton baad muhajir ki tarah aae hain
ruTh jae na khanDar aao miyan dekh aaen
Ghazal
Dar-o-diwar pe hijrat ke nishan dekh aaen
Qaisar-ul-Jafri