dar-o-diwar par saya paDa hai
hawaon mein nami ka zaiqa hai
koi tufan hai kachcha ghaDa hai
nigah-e-shauq manzil-ashna hai
wahi kunj-e-qafas hai aur hum hain
wahi ummid ka jalta diya hai
main aaine mein KHud ko khojta hun
ye ganw kab ka KHali ho chuka hai
december ki kahani aur kuchh thi
mere dil ka ujaDna hadisa hai
gham-e-uqba gham-e-dauran gham-e-dil
hamein kitna banaya ja raha hai
yahan insan boe ja rahe hain
ye jangal is liye kaTa gaya hai
qabila qafila qaidi qataren
ye manzar sham tak phaila hua hai
ye rasta dur tak jata hai 'rahil'
hamein pichhe bhi muD kar dekhna hai

Ghazal
Dar-o-diwar par saya paDa hai
Rahil Bukhari