اردو हिंदी
Dar-o-diwar ki zad se nikalna chahta hun main | Shaahi Shayari
dar-o-diwar ki zad se nikalna chahta hun main

Ghazal

Dar-o-diwar ki zad se nikalna chahta hun main

Irfan Siddiqi

;

dar-o-diwar ki zad se nikalna chahta hun main
hawa-e-taza tere sath chalna chahta hun main

wo kahte hain ki aazadi asiri ke barabar hai
to yun samjho ki zanjiren badalna chahta hun main

numu karne ko hai mera lahu qatil ke sine se
wo chashma hun ki patthar se ubalna chahta hun main

buland o past duniya faisla karne nahin deti
ki girna chahta hun ya sambhalna chahta hun main

mohabbat mein hawas ka sa maza milna kahan mumkin
wo sirf ek raushni hai jis mein jalna chahta hun main