Dar maut ka na KHauf kisi dewta ka tha
wo fath-yab yun tha ki banda KHuda ka tha
pahle bhi hadsat hue zindagi ke sath
lekin jo aaj dekha wo manzar bala ka tha
lo wo bhi gir gaya mere aangan ka peD aaj
har waqt jis se aasra taza hawa ka tha
sun kar jise pahaDon ke sine dahal gae
ye bhi karishma dosto apni sada ka tha
tufan se bach nikalne ki surat na thi koi
ye faiz meri man ke hi dast-e-dua ka tha
tum bhi bhula do tark-e-talluq ka waqia
hum bhi ye soch lenge ki jhonka hawa ka tha
sahil pe la ke aap safine jala diye
ye kaam bhi 'wasim' hamari ana ka tha

Ghazal
Dar maut ka na KHauf kisi dewta ka tha
Waseem Minai