dar khol ke dekhun zara idrak se bahar
ye shor sa kaisa hai meri KHak se bahar
rudad-e-guzishta to suni kuza-gari ki
farda ka bhi kar zikr jo hai chaak se bahar
KHush aaya ajab ishq ko ye jama-e-zeba
nikla nahin phir hijr ki poshak se bahar
chaha tha mafar dil ne magar zulf-e-girah-gir
pechaak banati rahi pechaak se bahar
aata nahin kuchh yaad ki ai saat-e-nisyan
kya rakkha tere taq pe kya taq se bahar
sunta hun kahin dur se naqqara saba ka
utri hai bahaar ab ke bhi KHashak se bahar
kuchh der Thahar aur zara dekh tamasha
napaid hain ye raunaqen is KHak se bahar
maujud KHala mein hain agar aur zaminen
aflak bhi honge kahin aflak se bahar
Ghazal
Dar khol ke dekhun zara idrak se bahar
Ejaz Gul