dar jo khola hai kabhi us se shanasai ka
ek manzar nazar aaya mujhe tanhai ka
apni aankhen na sajaana kisi darwaze par
chashm-e-hairan ko bharosa nahin binai ka
zaKHm-arai mein sab zaKHm purane the magar
zaKHm taza hi raha us ki shanasai ka
arsa-e-hijr se phir wasl ki sarshaari tak
hausla dil ko bahut chahiye paspai ka

Ghazal
Dar jo khola hai kabhi us se shanasai ka
Rashid Noor