dar-e-faqir pe jo aae wo dua le jae 
dawa-e-dard koi dard-e-la-dawa le jae 
visal-e-yar ki ab sirf ek surat hai 
hamari KHak uDa kar wahan hawa le jae 
to jaan jae mera dukh jo tere pahlu se 
koi bhi aae tere dost ko uTha le jae 
kisi jazira-e-nadida ki talab thi hamein 
ab is pe hai ki jahan hum ko naKHuda le jae 
zamana-saz hai 'fartash' us ke kya kahne 
ki KHud hi qatl kare aur KHun-baha le jae
        Ghazal
Dar-e-faqir pe jo aae wo dua le jae
Fartash Syed

