dar aaya andhera aankhon mein aur sab manzar dhundlae hain
ye waqt hai dil ke Dubne ka aur sham ke gahre sae hain
ye zara zara si KHushiyan bhi to lakh jatan se milti hain
mat chheDo ret-gharondon ko kis mushkil se ban pae hain
wo lamha dil ki aziyyat ka to guzar gaya ab sochne do
kya kahna hoga un se mujhe jo pursish-e-gham ko aae hain
jalti hui shamon ne aksar ehsas ki rakh ko bhaDkaya
qurbat mein damakte chehron ki tanhai ke dukh yaad aae hain
sochon ko tar-o-taza rakkha 'shabnam' tere paiham ashkon ne
hairat hai ki ahd-e-KHizan mein bhi ye phul nahin kumhlae hain
Ghazal
Dar aaya andhera aankhon mein aur sab manzar dhundlae hain
Shabnam Shakeel