dam na nikla yar ki na-mehrbani dekh kar
saKHt hairan hun main apni saKHt-jaani dekh kar
sham se ta-subh-e-furqat subh se ta-sham-e-hijr
hum chale kya kya na lutf-e-zindagani dekh kar
yun to lakhon gham-zada honge magar ai aasman
jab tujhe jaanun ki la de mera sani dekh kar
ab tap-e-furqat se ye kuchh zof tari hai ki aah
dang rah jati hai hum ko na-tawani dekh kar
waste jis ke hue bahr-e-fana ke aashna
wo pasija bhi na apni jaan-fishani dekh kar
baz aa 'bimar' us ke ishq se jaane bhi de
taras aata hai ye teri naujawani dekh kar
Ghazal
Dam na nikla yar ki na-mehrbani dekh kar
Sheikh Bimar Ali Bakhsh