dam-bhar jo na dekhe tujhe ai rashk-e-pari aankh
mizhgan ki zabanon se kare nauhagari aankh
jam jae tasawwur jo tere buTe se qad ka
pathra ke bane saf aqiq-e-shajari aankh
le lijiye shishe hain safed ashk nahin hain
nam baada-kashi se ki gai shisha-gari aankh
jao jo chaman ko to kare farsh-e-rah-e-naz
bulbul jigar-o-faKHta dil kabk-e-dari aankh
dekha jise bismil kiya taka jise mara
us aankh se Dariye jo KHuda se na Dari aankh
jumbish udhar us ko hai to gardish idhar is ko
abru hai ki shamshir sipar hai ki phiri aankh
kya did ke qabil tere kuche ki zamin hai
har gam hai naqsh-e-qadam-e-rah-guzri aankh
tum jhank rahe ho ye tumhein tak raha hai
kyun dida-e-rauzan pe aji tum ne dhari aankh
kahti hi teri naf-o-shikam dekh ke bulbul
ruKHsar-e-gul-e-tar pe hai nargis ki dhari aankh
ai mah ye sab chashm-e-falak ke hain ishaare
aise to na thi mail-e-be-dad-gari aankh
nargis jo gulistan mein hai to dasht mein aahu
har rang mein dikhlane lagi jalwagari aankh
gad ka kahin wo surma ka dumbaala uThae
hai dast-e-mizha mein liye putli ki phiri aankh
dekhe wo agar chashm-e-siyah aur ye KHat-e-sabz
nargis ki siyah aankh ho tuti ki hari aankh
Ghazal
Dam-bhar jo na dekhe tujhe ai rashk-e-pari aankh
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi