dam-ba-KHud baiTh ke KHud jaise zaban gili hai
sans kya lun ki hawa dahr ki zahrili hai
ban gaya qatra-e-nachiz taraqqi se guhar
zat hai ek faqat nam ki tabdili hai
lag ne jis ki mujhe phunka hai andar andar
shama us aag ki ek haiat-e-tamsili hai
mal ke miTTi teri chaukhaT ki hua KHak se pak
jo lakir ab mere mathe ki hai chamkili hai
phir uDana hain gareban ke mujhi ko purze
hath bekar abhi the ki qaba si li hai
'arzu' hoga ye maqtal hi aza-KHana bhi
shafaqi farsh zamin ka hai to chhat nili hai
Ghazal
Dam-ba-KHud baiTh ke KHud jaise zaban gili hai
Arzoo Lakhnavi