dam-ba-dam taghayyur ke rang hain zamane mein
kuchh kami nahin aati dard ke KHazane mein
ghair ki shikayat kya shauq-e-lazzat-e-gham se
main bhi ho gaya shamil apna dil dukhane mein
mere chaar jaanib the KHar-zar nafrat ke
umr kaT gai meri rasta banane mein
waqt ne un aankhon ke KHwab hi badal Dale
der ho gai tujh ko mere pas aane mein
chiKHte the ham-sae ek ajib lazzat thi
dhup mein khaDe ho kar aaina dikhane mein
taeron ko aisi bhi kya thi ujlat-e-parwaz
bhul kar chale aae KHwab aashiyane mein
thi hawa bhi shorida hath bhi the larzida
ungliyan jala Dalin ek diya jalane mein
dam aur qafas Thahre qissa-ha-e-parina
qaid kar diya us ne mujh ko aab-o-dane mein
baam-o-dar 'farasat' ab kya hamein KHushi denge
zindagi basar kar di gham ke shamiyane mein
Ghazal
Dam-ba-dam taghayyur ke rang hain zamane mein
Farasat Rizwi