dam ajnabi sadaon ka bharte ho sahibo
har lamha apni jaan se guzarte ho sahibo
kya jaane kya hai baat ki har samt bhiD mein
apna hi chehra dekh ke Darte ho sahibo
tum bhi ajib log ho kanTon ki rah se
kaise lahuluhan guzarte ho sahibo
ek ajnabi si aag hai jal ke is mein aaj
kis zindagi ki khoj mein marte ho sahibo
kya jaane kis guhar ki tumhein justuju hai kyun
dariyaon mein lahu ke utarte ho sahibo
itna bhi phunk phunk ke rakhte nahin qadam
ab kunj-e-afiyat se bhi Darte ho sahibo
ab ye zamin bhi na KHalaon ki ho shikar
kyun apne aasman se utre ho sahibo
Ghazal
Dam ajnabi sadaon ka bharte ho sahibo
Shahid Ahmad Shoaib