daKHl har dil mein tera misl-e-suwaida ho gaya
al-aman ai zulf-e-alam-gir sauda ho gaya
go paDa rahta hun aab-e-ashk mein misl-e-habab
sozish-e-dil se magar sab jism chhaala ho gaya
ai shah-e-KHuban tasawwur se tere ruKHsar ke
chashm ka parda be-ainihi lal-e-parda ho gaya
farq-e-rindan-o-malaik ab bahut dushwar hai
mai-kada us ke qadam se raushan aisa ho gaya
dana-e-angur aKHtar chandni mai mah jam
nasr-e-taer bat qaraba charKH mina ho gaya
sunte hain taib hua us but ke ghar jaane se tu
kya tera 'bimar' patthar ka kaleja ho gaya
Ghazal
DaKHl har dil mein tera misl-e-suwaida ho gaya
Sheikh Bimar Ali Bakhsh