dahan ko zaKHm zaban ko lahu lahu karna
azizo sahl nahin us ki guftugu karna
khule daricho ko takna to hao-hu karna
yahi tamasha sar-e-sham ku-ba-ku karna
jo kaam mujh se nahin ho saka wo tu karna
jahan mein apna safar misl-e-rang-o-bu karna
jahan mein aam hain nukta-shanasiyan us ki
tum ek lafz mein tashrih-e-arzu karna
dil-e-tabah ki iza-parastiyan malum
jo dastaras mein na ho us ki justuju karna
main us ki zat se inkar karne wala kaun
na ho yaqin to mujhe us ke ru-ba-ru karna
jo harf likhna use lauh-e-ab par likhna
jo naqsh karna sar-e-sath-e-abju karna
Ghazal
Dahan ko zaKHm zaban ko lahu lahu karna
Prem Kumar Nazar