dafatan dil mein kisi yaad ne li angDai
is KHarabe mein ye diwar kahan se aai
aaj khulne hi ko tha dard-e-mohabbat ka bharam
wo to kahiye ki achanak hi teri yaad aai
bas yun hi dil ko tawaqqo si hai tujh se warna
jaanta hun ki muqaddar hai mera tanhai
nashsha-e-talKHi-e-ayyam utarta hi nahin
teri nazron ne gulabi to bahut chhalkai
yun to har shaKHs akela hai bhari duniya mein
phir bhi har dil ke muqaddar mein nahin tanhai
Dubte chand pe roi hain hazaron aankhen
main to roya bhi nahin tum ko hansi kyun aai
raat bhar jagte rahte ho bhala kyun 'nasir'
tum ne ye daulat-e-bedar kahan se pai
Ghazal
Dafatan dil mein kisi yaad ne li angDai
Nasir Kazmi