dawar-e-hashr zara aur baDhe baat ki bas
mujh se kuchh aur bhi puchhenge sawalat ki bas
jis ko sun kar kabhi KHush hote ho naraaz kabhi
aap farmaen ki dohraun wahi baat ki bas
kya main ab chhoD dun yarab yahin ummid ka sath
kya abhi aur Thahar sakti hai ye raat ki bas
zindagi kya isi uljhan mein guzar jaegi
kya abhi aur bhi bigDenge ye haalat ki bas
ye qayamat ki ghaDi sar se Talegi yarab
hain dikhane ko abhi aur kamalat ki bas

Ghazal
Dawar-e-hashr zara aur baDhe baat ki bas
Om Krishn Rahat