dawa to kiya husn-e-jahan-soz ka sab ne
duniya ka magar rup baDhaya teri chhab ne
tu nind mein bhi meri taraf dekh raha tha
sone na diya mujh ko siyah-chashmi-e-shab ne
har zaKHm pe dekhi hain tere pyar ki mohren
ye gul bhi khilae hain teri surKHi-e-lab ne
KHushbu-e-badan aai hai phir mauj-e-saba se
phir kis ko pukara hai tere shahr tarab ne
darkar hai mujh ko to faqat izn-e-tabassum
patthar se agar phul ugae mere rab ne
wo husn hai insan ki meraj-e-tasawwur
jis husn ko puja hai mere sher o adab ne
Ghazal
Dawa to kiya husn-e-jahan-soz ka sab ne
Ahmad Nadeem Qasmi