اردو हिंदी
Dastanon mein mile the dastan rah jaenge | Shaahi Shayari
dastanon mein mile the dastan rah jaenge

Ghazal

Dastanon mein mile the dastan rah jaenge

Fazil Jamili

;

dastanon mein mile the dastan rah jaenge
umr buDhi ho to ho hum naujawan rah jaenge

sham hote hi gharon ko lauT jaana hai hamein
sahilon par sirf qadmon ke nishan rah jaenge

hum kisi ke dil mein rahna chahte the is tarah
jis tarah ab guftugu ke darmiyan rah jaenge

KHwab ko har KHwab ki tabir milti hai kahan
kuchh KHayal aise bhi hain jo raegan rah jaenge

kis ne socha tha ki rang-o-nur ki barish ke baad
hum faqat bujhte charaghon ka dhuan rah jaenge

zindagi be-nam rishton ke siwa kuchh bhi nahin
jism kis ke sath honge dil kahan rah jaenge