اردو हिंदी
Dastan-e-dard-e-dil ahl-e-wafa kahne lage | Shaahi Shayari
dastan-e-dard-e-dil ahl-e-wafa kahne lage

Ghazal

Dastan-e-dard-e-dil ahl-e-wafa kahne lage

Ghulam Husain Ayaz

;

dastan-e-dard-e-dil ahl-e-wafa kahne lage
yani har aawaz ko teri sada kahne lage

lijiye phir toD di yaron ne zanjir-e-sukut
lijiye hum zindagi ka marsiya kahne lage

ye bhi apni tang-nazari ki hai ek wazeh dalil
hum jo har chehre ko ab ek aaina kahne lage

phir nai tahzib ka ek bab raushan ho gaya
log phir ab dastan-e-irtiqa kahne lage

itni aawara-mizaji bhi 'ayaz' achchhi nahin
dekh tere bare mein ab log kya kahne lage